itnaa ehsaan to ham par wo khudaaraa karte
— A G Josh
Itnaa ehsaan to ham par wo khudaaraa karte
Apne haathon se jigar chaak hamaaraa karte
Ham ko to dard-e-judaa.ee se hee mar jaanaa tha
Chand roz aur na qaatil ko ishaara karte
Le ke jaate na agar saath wo yaaden apnee
Yaad karte unhen aur waqt guzaaraa karte
Zindagee miltee jo sau baar hamen dunya men
Ham to har baat ise aap pe vaaraa karte
'josh' dhundlaataa na hargiz ye miraa sheesha-e-dil
Gard us kee wo agar roz utaaraa karte