jab kabhi zikr yaar kaa aayaa
— A G Josh
Jab kabhi zikr yaar kaa aayaa
Ek jhonkaa bahaar kaa aayaa
Ishq kachche ghaDe pe Doob gaya
Lamha jab intizaar kaa aayaa
Aa ga.e dil men vasvase kitne
Vaqt jab aitbaar kaa aayaa
Paas teer-o-kamaan na the apne
Jab bhee mausam shikaar kaa aayaa
Ham ne Thukraa diyaa jahaan ko 'josh'
Marhala jab vaqaar kaa aayaa