koi shikva to zer e lab hogaa
— A G Josh
Koi shikva to zer-e-lab hogaa
Kuch khamoshee kaa bhee sabab hogaa
Main bhee hoon bazm men raqeeb bhee hai
Aakhiree faisla to ab hogaa
Aa.en mai-khaane men kabhi vaa.iz
Huur bhee hogee aur sab hogaa
Bol ai mere dil kee taareekee
Teraa sooraj tulooa kab hogaa
Suntaa hogaa sadaa.en us dil kee
Shaam-e-tanhaa.ee men wo jab hogaa
Kab chhaTengee ye badliyaan gham kee
Saaf matl.a ye 'josh' kab hogaa