mumkin hai shab e hijr duaa kaa na asar ho
— A G Josh
Mumkin hai shab-e-hijr duaa kaa na asar ho
Hai raat wo kya raat ki jis kee na sahar ho
Thukraa ke chale jaanaa hai bar-haq tumhen lekin
Bas rakhnaa khayaal itnaa jahaan ko na khabar ho
Wo shab jo sitaaron se bharee ho to hamen kya
Pahloo men agar tere miree shab na basar ho
Garjaa hai baDe zor se baadal zaraa dekho
Bijlee se giree jis pe kaheen meraa na ghar ho
Jeevan hai safar 'josh' ye tasleem hai lekin
Mahboob kaa ho saath to kya khuub safar ho