shabaab aa gaya us par shabaab se pahle

A G Josh

Shabaab aa gaya us par shabaab se pahle Dikhaa.ee dee mujhe ta.abeer khvaab se pahle Jamaal-e-yaar se raushan huee miree Dunya Wo chamkee dil men kiran maahtaab se pahle Dil-o-nigaah pe kyuun chhaa raha hai ai saaqee Ye teree aankh kaa nashsha sharaab se pahle Na pesh naama-e-a.amaal kar abhee ai 'josh' Hisaab kaisaa ye roz-e-hisaab se pahle