suunaa suunaa dil kaa mujhe nagar lagtaa hai

A G Josh

Suunaa suunaa dil kaa mujhe nagar lagtaa hai Apne saa.e se bhee aaj to Dar lagtaa hai BaanT raha hai daaman daaman meree chaahat Apna dil bhee kisee sakhee kaa dar lagtaa hai Mahroomee ne jahaan baseraa DhoonD liyaa hai Mujh ko to wo ghar bhee apna ghar lagtaa hai Meree barbaadee men hissa hai apnon kaa Mumkin hai ye baat ghalat ho par lagtaa hai 'josh' hoon main deevane-pan kee us manzil men Jahaan raqeeb bhee apna naama-bar lagtaa hai