un ke nazdiik naakhudaa kya hai
— A G Josh
Un ke nazdeek naakhudaa kya hai
Jo samajhte hain ye khuda kya hai
Be-khudee men hain sajda-haa-e-niyaaz
Ye nahin jaante khuda kya hai
Sajde paa-e-sanam pe karte hain
Ham nahin jaante khuda kya hai
Jis ne un saa haseen khalq kiyaa
'aql hairaan hai wo khuda kya hai
Kar diyaa mubtalaa-e-'ishq-e-butaan
Dekhen ab marzi-e-khuda kya hai