giiton kaa shahr hai ki nagar soz o saaz kaa
— Aabid Adeeb
Geeton kaa shahr hai ki nagar soz-o-saaz kaa
Qalb-e-shikasta aur ye aalam gudaaz kaa
Chaaron taraf sajee hain dukaanen khuloos kee
Chamkaa hai kaarobaar har ik heelaa-saaz kaa
Wo chaahe khvaab ho ki haqeeqat magar kabhi
Ehsaan uThaa.egaa na libaas-e-majaaz kaa
Jis tarah chaahaa jaa.e hai chaahaa nahin abhee
Andesha jaan khaa.e hai ifshaa-e-raaz kaa
Bahroopiyaa hai koi phire hai nagar nagar
Qaatil kaa ruup dhaare kabhi chaarasaaz kaa
Yuun hanste hanste daar-e-fanaa se chalaa hai wo
Jaise safar naseeb ho arz-e-hijaaz kaa
'aabid' ghamon kee dhoop men jalnaa hai chaar din
Bas qissa mukhtasar hai ye umr-e-daraaz kaa