haadson se be khabar the log dhartii par tamaam

Aabid Adeeb

Haadson se be-khabar the log dhartee par tamaam Aasmaan kee neelgoon aankhon men the manzar tamaam Rafta rafta rasm-e-sang-baaree jahaan se uTh ga.ee Dheere dheere ho ga.e bastee ke sab patthar tamaam Tishna-lab dhartee pe jab bahtaa hai pyaason kaa lahoo Muddaton maqtal men sar kham rahte hain khanjar tamaam Zindagee bikhree huee hai is tarah fotpath par Bastiyaan aabaad hain aur log hain be-ghar tamaam Shaahraahen daf.atan sho.ale ugalne lag ga.iin Ghar kee jaanib chal paDaa hai shahr ghabraa kar tamaam Sub.h ke saare ujaale raaston men kho ga.e Shab ke andhiyaaron men gum hain shaam ke manzar tamaam Ab kahaan wo log wo raunaq wo naghme wo fazaa Shahr kee galiyaan hain suunee suune baam-o-dar tamaam