safar kaa shauq na manzil ki justujuu baaqii
— Aabid Adeeb
Safar kaa shauq na manzil kee justujoo baaqee
Musaafiron ke badan men nahin lahoo baaqee
Tamaam raat havaaon kaa gasht jaaree thaa
Savere tak na raha koi hoo-ba-hoo baaqee
Sabhee tarah se ta.aaruf to ho gaya un kaa
Rahi hai ab to mulaaqaat roo-ba-roo baaqee
Jo bhiiD bikhre to dekhoon talab ye kaisee hai
Dayaar-e-ghair men hai kis kee justujoo baaqee
Vahee nazaare vahee garmee-e-sukhan hai magar
Na hee wo baat na wo tarz-e-guftugoo baaqee
Zamaana mujh se judaa ho gaya zamaana huaa
Raha hai ab to bichhaDne ko mujh se too baaqee
Usee lihaaz kaa 'aabid' malaal hai ham ko
Raha na aaj jo dauraan-e-guftugoo baaqee