ye hai aab e ravaan na thahregaa
— Aabid Adeeb
Ye hai aab-e-ravaan na Thahregaa
Umr kaa kaarvaan na Thahregaa
ChhoD dee hai jagah sutoonon ne
Sar pe ab saa.ebaan na Thahregaa
Ret par hai asar havaaon kaa
Koi naam-o-nishaan na Thahregaa
Har qadam jo tumhaaree samt uThaa
Sa.ee-e-raa.egaan na Thahregaa
Marhala aa gaya tasaadum kaa
Faasla darmiyaan na Thahregaa
Dil kaa sauda hai kaar-e-dil-daaraan
Farq-e-sood-o-ziyaan na Thahregaa
Kyon sunaate ho sab ko haal apna
Har koi raazdaan na Thahregaa
ChhoD degee zameen mehvar ko
Mustaqil aasmaan na Thahregaa
Apnee aankhon men aaj use bhar lo
Der tak ye samaan na Thahregaa
Juz teree mahfilon ke aur kaheen
'aabid'-e-naa-tavaan Thahre Thahregaa