ye mere shahr kaa ik aur haadisa hogaa
— Aabid Adeeb
Ye mere shahr kaa ik aur haadisa hogaa
Wo kal yahaan miraa mehmaan ban chukaa hogaa
Talaash men hoon kisee kee main kab se sargardaan
Usee tarah koi mujh ko bhee DhoonDhtaa hogaa
Miree tarah se koi cheekhtaa hai raahon men
Miree tarah koi Dunya ko dekhtaa hogaa
Lagaa ke aa.egaa chehra koi nayaa shab men
Wo jis ko baith ke din men taraashtaa hogaa
Shanaasaa chehre bhee lagne lage hain begaane
Ab apna vaqt hee shaayad badal raha hogaa
Udaas udaas saa khoyaa huaa saa rahtaa hai
Kuch us se bhee koi kah kar badal gaya hogaa
Thakaa thakaa saa usee dar pe aa ke baiThaa thaa
Na poochhaa hogaa kisee ne to chal diyaa hogaa
Jahaan pahunch ke qadam Dagmagaa.e hain sab ke
Usee maqaam se ab apna raasta hogaa