abas hai shaakh e qad aavar pe aashiyaan rakhnaa
— Aabid Jafri
Abas hai shaakh-e-qad-aavar pe aashiyaan rakhnaa
Zameen ko raas kab aaya hai aasmaan rakhnaa
Safar karo ki Thahar jaao ik azaab hai ye
Qadam ko hijrat-o-manzil ke darmiyaan rakhnaa
Kisee kaa shor-e-fughaan sun ke yaad aaya bahut
Faseel-e-gham men miraa dard-e-be-zabaan rakhnaa
Khulee fazaa men to shabnam bhee baar lagtee hai
Agar hai tarz-e-kuhan sar pe saa.ebaan rakhnaa
Ye log apnee hee deevaar ke naqab-zan hain
Kabhi na bhuul ke tum ghar kaa paasbaan rakhnaa
Hai naav maujon kee zad men magar hamen 'aabid'
Na aaya baad-e-mukhaalif pe baadbaan rakhnaa