dhoop kaa bojh bhalaa main ne uthaayaa kab thaa
— Aabid Jafri
Dhoop kaa bojh bhalaa main ne uThaayaa kab thaa
Main to tanhaa thaa miree zaat kaa saayaa kab thaa
Itne maanoos hue gham se ki ab yaad nahin
Vaqt ne dard kaa ambaar lagaayaa kab thaa
Shaam utree mire chehre pe to sochaa main ne
Din miree ziist ke aangan men samaayaa kab thaa
Dard baDhtaa hai to zakhmon se main kartaa hoon savaal
Sang main ne kisee vahshee pe uThaayaa kab thaa
Ab bhee hai sub.h miree aankh men zakhmee zakhmee
Kaun kahtaa hai ki main shab kaa sataayaa kab thaa