Khoon miraa jis se huaa hai khanjar e ahbaab hai

Aabid Jafri

Khoon miraa jis se huaa hai khanjar-e-ahbaab hai Ye haqeeqat hai magar lagtaa hai jaise khvaab hai Is liye mujh saa numaayaan ho gaya be-baal-o-par Jis jagah main hoon vahaan har aadmee surkhaab hai Ham ne dekhaa hai ki aksar Doob jaataa hai vahee Jo talaash-e-gauhar-e-yaktaa men zer-e-aab hai Ab kisee jangal men jaa rahiye ki apne shahr men Aadmee hee aadmee ke vaaste naayaab hai Zindagee apnee bil-aakhir ho ga.ee us par tamaam Jo kitaab-e-zindagee kaa naa-mukammal baab hai Wo to ye kahiye shikasta ho chukaa hai hausla Varna dil ab bhee kisee ke vasl ko betaab hai