mohabbaton par dil e haziin ko nisaar karnaa

Aabid Jafri

Mohabbaton par dil-e-hazeen ko nisaar karnaa Hai yuun ki jaise junoon men khud hee pe vaar karnaa Ajab nahin wo bhee mere raste pe khud ko Daale Wo jis ne seekhaa hai qaafilon ko ghubaar karnaa Wo ek baarish kee muntazir be-shumaar aankhen Wo ek toofaan kaa bastiyon ko shumaar karnaa Mujhe to us ne tamaam lamhe vahee diye hain Vahee jo ahl-e-junoon ko hon ikhtiyaar karnaa Shafaq utar kar tumhaare palloo se bandh ga.ee hai Jo ho sake to sahar talak ye hisaar karnaa Aziyyaton kaa khameer zakhm-e-nihaan se uTThaa Kabhi jo chaahaa hai dil kaa sahraa bahaar karnaa