wo dil ki jhiil men utraa thaa ek saaat ko
— Aabid Jafri
Wo dil kee jhiil men utraa thaa ek saa.at ko
Ye umr ho ga.ee hai sahte is malaamat ko
Kaheen to saaya-e-deevaar-e-aagahee mil jaa.e
Koi to aa.e kare khatm is masaafat ko
Tumheen se mil ke miree dil se aashnaa.ee ho
Tumhaare baad hee jaanaa hai is qayaamat ko
Wo ek shakhs mujhe kar gaya sabhee se judaa
Taras raha hoon main jis shakhs kee rifaaqat ko
Ajiib log hain is shahr ke ba-naam-e-wafa
Havaa.en dete hain har sho.ala-e-adaavat ko
Javaaz bhee to koi ho miree tabaahee kaa
Chhupaa rahe ho tabassum men kyon nadaamat ko
Ga.e dinon kaa manaate ho sog phir 'aabid'
Hamen yaqeen hai na badloge apnee aadat ko