buraa hi kya thaa jo aap apnii misaal hote kamaal hote
— Aabid Umar
Buraa hee kya thaa jo aap apnee misaal hote kamaal hote
Kisee tarah se jo TuuTe rishte bahaal hote kamaal hote
Ye lailaa majnoon ye hiir raanjhaa ye sheereen farhaad kee mohabbat
Thee aisi shiddat kaheen jo un ke visaal hote kamaal hote
PaDhaa nahin thaa nisaab-e-ulfat amal men aage the har kisee se
Samajhtee Dunya agar hamen be-misaal hote kamaal hote
Wo mujh se miltaa khamosh rahtaa khamoshiyon par hee daad paataa
Magar jo nazron se munfarid se savaal hote kamaal hote
Ye kya ki tanhaa.iyon se rishta banaa ke khud ko ganvaa liyaa hai
Samaa ke mujh men jo aap meraa jamaal hote kamaal hote
Jise bhee dekhaa usee ko da.avaa-e-husn karte sunaa gaya hai
Jahaan bhar men haseen agar khaal-khaal hote kamaal hote
Naseeb apna sukhanvaron men hamaaree gintee na ho sakegee
'umar' adaakaar ham agar baa-kamaal hote kamaal hote