ye kya padii hai tujhe dil jalon men baithne ki

Aabid Umar

Ye kya paDee hai tujhe dil jalon men baiThne kee Ye umr to hai miyaan doston men baiThne kee Chhupaa.ee jaatee nahin zardiyaan so duur hoon main Vagarna hotee hai khwaish gulon men baiThne kee Shumaar meraa bhee karte hain log in men magar Miree majaal kahaan shaa.iron men baiThne kee Abhee na unglee uThaa mujh pe thoDee mohlat de Tameez siikh raha hoon baDon men baiThne kee Mujhe badal ke koi aur hee banaa diyaa hai Ki intihaa hai ye soorat-garon men baiThne kee Dikhaa rahe hain tavaatur se khaamiyaan meree Bhagat raha hoon sazaa aa.inon men baiThne kee Nahin majaal kisee kee ki muntashir kar de Banaa chuke hain jo aadat safon men baiThne kee Khazaane luTte rahenge ye khaalee hone tak UjaaD degee ye aadat gharon men baiThne kee Khuda ataa kare ohda baDaa ghareeb ko aur Badal sake na wo khoo naukaron men baiThne kee Khushaamadee nahin rakhtaa hai apne kaam se kaam To kya paDee hai tujhe afsaron men baiThne kee Ye dil scan karaanaa bahut zarooree hai Ki ittilaa.a hai tire dhaDkanon men baiThne kee Hayaat soo-e-adam le ke jaa rahi hain 'umar' Jo aadaten hain ga.e mausamon men baiThne kee