aansuuon ko raushnaaii kar raha hoon
— Aadarsh Dubey
Aansuon ko raushnaa.ee kar raha hoon
Is zamaana se laDaa.ee kar raha hoon
Koi chaaraagar nahin hai aaj meraa
Har maraz kee khud davaa.ee kar raha hoon
Ek nanhe se diye kee raushnee le
Main andheron se laDaa.ee kar raha hoon
Main buraa.ee kar raha hoon aap kee yaa
Main hee khud apnee buraa.ee kar raha hoon
Kal se bo.oongaa sunahre khvaab in men
Aaj aankhon kee safaa.ee kar raha hoon