ek chehra gumaan men rahtaa hai

Aadarsh Dubey

Ek chehra gumaan men rahtaa hai Baadalon ke jahaan men rahtaa hai Ham to pagDanDiyon ke raahee hain Aur wo kahkashaan men rahtaa hai Ishq kee ik yahee kharaabee hai Har ghaDee imtihaan men rahtaa hai Sirf us kee talaash hai mujh ko Aur wo aasmaan men rahtaa hai Gaanv kaa husn dekhiye saahib Chaand kachche makaan men rahtaa hai