jab se badle hain rang parde ke

Aadarsh Dubey

Jab se badle hain rang parde ke Bhaav Kuch baDh ga.e hain kamre ke Aa.ine aa.inon men dikhte the Itne chehre the ek chehre ke Main ne dekhe hain saikDon sooraj Aaj qaabil nahin hai zarre ke Ham ko manzil talaash kartee hai Ham musaafir hain aise raste ke