kamaal dekhiye sab kaa yaqiin jalaayaa gaya
— Aadarsh Dubey
Kamaal dekhiye sab kaa yaqeen jalaayaa gaya
Main ik charaagh hoon mujh ko nahin jalaayaa gaya
Ye saaneha bhee kisee bughz kee alaamat hai
Makaan chhoD diyaa aur makeen jalaayaa gaya
Khuda kaa is se baDaa aur kya karam hogaa
Jahaan bujhaayaa thaa mujh ko vaheen jalaayaa gaya
Use bataanaa havaa se nahin jahaan se bache
Koi charaagh agar ab kaheen jalaayaa gaya