mujh khaanumaan kharaab se aage ki chiiz hai

— Aadarsh Dubey

Mujh khaanumaan-kharaab se aage kee chiiz hai Dunya kisee azaab se aage kee chiiz hai Us ke liye savaal uThaa.e hue hain log Wo to har ik javaab se aage kee chiiz hai Us ko paDhoon ki dekhoon bataao mujhe ki wo Kaaghaz qalam kitaab se aage kee chiiz hai