mujhe ye dar hai ki ab bas yahii na kar baithuun
— Aadarsh Dubey
Mujhe ye Dar hai ki ab bas yahee na kar baiThoon
Tiree khushee men kaheen khud-kushee na kar baiThoon
Wo sun ke is liye mujh ko javaab deta nahin
Savaal us se koi aakhiree na kar baiThoon
Main jis ko DhoonD raha tha wo mil gaya mujh men
Tamaam shikve gile aaj hee na kar baiThoon
Har ek samt mujhe too dikhaa.ee deta hai
Main ek 'ishq ke peechhe ka.ee na kar baiThoon
BaDe jatan se banaayaa hai us ne jis ko khuda
Kaheen main chhoo ke use aadmee na kar baiThoon
Chale bhee aao ke ik roz ye bhee mumkin hai
Tumhaare naam main ye zindagee na kar baiThoon
Kuch is liye bhee tavajjoh-talab ziyaada hoon
Jo kah raha hoon kaheen vaaqa'ee na kar baiThoon