tamaam nekiyaan Dariya men daalne ke liye
— Aadarsh Dubey
Tamaam nekiyaan Dariya men Daalne ke liye
Nikal paDe hain samundar khangaalne ke liye
Sitam to ye hai ke tesha nahin milaa ham ko
PahaaD kaaT ke rastaa nikaalne ke liye
Na jaane kitnon kee qeemat giraa.ee jaatee hai
Ameer-e-shahr kee qeemat uchhaalne ke liye
Ham aise logon ko laayaa gaya hai Dunya men
Kuen men kuud ke sikka nikaalne ke liye
Kisee ke hijr kee ham aag piite rahte hain
Sulagte lafzon ko ghazlon men Dhaalne ke liye
Zaraa sanbhaalnaa aa jaa.e aadmee ko agar
To ek gham hee bahut hai sanbhaalne ke liye