ummiid kaa charaag jalaa kar chalaa gaya

Aadarsh Dubey

Ummeed kaa charaagh jalaa kar chalaa gaya Ik shakhs mere khvaab men aa kar chalaa gaya Us ke hee dam se naqsh-o-nigaar-e-bahaar hai Patthar men bhee jo phuul khilaa kar chalaa gaya Deevaar kee tarah main tire raaste men tha Aur ret kee tarah too giraa kar chalaa gaya Aaya tha kaun khvaab men chingaariyaan liye Neendon men meree aag lagaa kar chalaa gaya Yoonhee nahin huaa hoon main patthar mire aziiz Aa.eena koi mujh ko dikhaa kar chalaa gaya