zaraa sii der charaagon kaa dil bahal jaae

Aadarsh Dubey

Zaraa see der charaaghon kaa dil bahal jaa.e Ye aaftaab kaheen aur jaa ke jal jaa.e Khuda parindon ke zyaada qareeb rahtaa hai Ajab nahin ki shikaaree kaa tiir jal jaa.e Main roz roz to chehre nahin badal saktaa Kisee ko bhej mire aa.ine badal jaa.e Use giraa ke hee aage agar nikalnaa hai Khuda kare ke miraa raastaa badal jaa.e Main chaahtaa hoon tire dil men der se pahunchoon Main chaahtaa hoon ki pahle miree ghazal jaa.e Main is liye bhee tiraa zikr roz kartaa hoon Kisee maqaam pe shaayad ye dil sanbhal jaa.e