apne hi dil ki baat se mahkaa gaya hoon main

Aadil Aseer Dehlvi

Apne hee dil kee baat se mahkaa gaya hoon main Apne hee rooh-o-jism men ghultaa gaya hoon main Aisi hee Kuch kashish hai jo hoon farsh-e-khaak par Varna bulandiyon se bhee oonchaa gaya hoon main Ai 'ishq raah-e-dost hai dushvaar-tar bahut Yaa'nee nigaah-e-naaz men aayaa gaya hoon main Har chehra aa.ina hai nigaahon ke saamne Har aa.ine ke qalb men dekhaa gaya hoon main Maqsad har ik nigaah kaa meree nazar men thaa Kya kya fareb-e-dost hain batlaa gaya hoon main Phir koi baat meree sabaa le ke uD ga.ee Khushboo kee tarh phoolon se uDtaa gaya hoon main Yaa to tire shabaab ko pahunchee nahin nazar Yaa vus'at-e-khayaal se ghabraa gaya hoon main Har ibtidaa.ee marhala pesh-e-nazar bhee thaa Kya hai ma.aal-e-'ishq ye samjhaa gaya hoon main Ash'aar mere tere tasavvur kaa jazb hain Jaise tire khayaal se miltaa gaya hoon main