jahaan sharaab kaa main ne gilaas dekhaa hai

Aadil Aseer Dehlvi

Jahaan sharaab kaa main ne gilaas dekhaa hai Gham-e-hayaat tujhe bad-havaas dekhaa hai Jo inkisaar hai meraa hijaab-aalooda Tire ghuroor ko bhee be-libaas dekhaa hai Kisee amiir kaa kaif-o-suroor yaad aayaa Kisee ghareeb ko jab bhee udaas dekhaa hai Hamen fareb diyaa hai us aadmee ne zaroor Jise zaraa saa bhee chehra-shanaas dekhaa hai Miree hayaat se vaaqif nahin qalam meraa Ki shaa'iree ne faqat iqtibaas dekhaa hai