dil savaal kartaa hai koi mah jabiin hai kya

Aadil Muzaffarpuri

Dil savaal kartaa hai koi mah-jabeen hai kya Zakhm jis se milte hain jaan ke qareen hai kya Pahle roz milte the ab kabhi nahin milte Ham se dil-nasheen dilkash koi ham-nasheen hai kya 'ishq se mohabbat se tum ko khauf aataa hai Dard se bharee Dunya is qadar haseen hai kya Dar to chhooT jaane kaa har kisee ko hota hai Ham bichhaDne vaale hain ho gaya yaqeen hai kya Kya huaa jo haarenge in jahaan vaalon se Jiit jaane vaalon kee sirf ye zameen hai kya Tum anaa-pasand 'aadil' aur na keena-parvar ho Mil gaya khuda tum ko jhuk ga.ee jabeen hai kya