gulaab rangon ko zaa fraanii nahin karuungaa
— Aadil Rahi
Gulaab rangon ko zaa'fraanee nahin karoongaa
Main aise paudon kee baaghbaanee nahin karoongaa
Kisee kee khaatir ghalat-bayaanee nahin karoongaa
Main jhooTe logon kee tarjumaanee nahin karoongaa
Sunaa hai ab wo khilaaf mere gavaahee degaa
Jo kah raha thaa ki bad-gumaanee nahin karoongaa
Sazaa main khud ko kabhi na doongaa tire kiye kee
Jigar ko chhalnee lahoo ko paanee nahin karoongaa
Tumhaare gham kaa tumhaaree yaadon kaa main amiin hoon
Kahaa thaa tum se ki be-imaanee nahin karoongaa
Mu'aaf tujh ko main pahle bhee kar chukaa hoon lekin
Dubaara tujh par ye mehrbaanee nahin karoongaa
Ye ghair-mumkin hai phir bhee haakim banaa to 'aadil'
Sitam-raseedon pe hukmraanee nahin karoongaa