jin logon se meri yaarii hotii hai
— Aadil Rahi
Jin logon se meree yaaree hotee hai
Un men koi baat to pyaaree hotee
Dunya men ik shakhs hee pyaaraa lagtaa hai
Ham aison men ye beemaaree hotee hai
Jab bhee apne yaaron se miltaa hoon main
Jaane kyon bas baat tumhaaree hotee hai
Sab ko dil kaa raaz bataanaa Thiik nahin
Dunya-daaree Dunya-daaree hotee hai
JhuuT bahut aasaan hai lekin ai 'raahee'
Sach kahne men Kuch dushvaaree hotee hai