kasak dil ki mitaane men zaraa sii der lagtii hai

Aadil Rahi

Kasak dil kee miTaane men zaraa see der lagtee hai Kisee kaa gham bhulaane men zaraa see der lagtee hai Kisee ko chaah kar apna banaanaa Thiik hai lekin Mohabbat aazmaane men zaraa see der lagtee hai Tumhen paane kee khwaish men huaa ehsaas ye mujh ko Muqaddar aazmaane men zaraa see der lagtee hai Jise minnat muraadon se baDee mushkil se paayaa ho Use dil se bhulaane men zaraa see der lagtee hai Ki jis dil kee zameen barson se banjar ho to phir us par Na.ee chaahat ugaane men zaraa see der lagtee hai Ghazal paDh kar to aasaanee se mahfil luuT sakte ho Magar izzat kamaane men zaraa see der lagtee hai Dil-e-muztar ko aakhir kaun samjhaa.egaa ai 'raahee' Sukoon-e-qalb paane men zaraa see der lagtee hai