terii har baat pe tanqiid nahin kar saktaa
— Aadil Rahi
Teree har baat pe tanqeed nahin kar saktaa
Haan magar jhuuT kee taa.eed nahin kar saktaa
Too agar jaan bhee maange to khushee se de duun
Main tire hukm kee tardeed nahin kar saktaa
Aakhiree 'ishq kiyaa main ne magar pahlee baar
Doosree baar ye tafreed nahin kar saktaa
Main ne dekhaa hai badaltaa huaa lahja teraa
Is liye tujh se to ummeed nahin kar saktaa
Too ne is haal men chhoDaa hai ki allaah allaah
'iid kaa din hai magar 'iid nahin kar saktaa
Ye alag baat sukhanvar hoon main 'aadil-raahee'
Dard itne hain ki tasveer nahin kar saktaa