chaand taare banaa ke kaagaz par
— Aadil Raza Mansoori
Chaand taare banaa ke kaaghaz par
Khush hue ghar sajaa ke kaaghaz par
Bastiyaan kyuun talaash karte hain
Log jangal ugaa ke kaaghaz par
Jaane kya ham se kah gaya mausam
Khushk pattaa giraa ke kaaghaz par
Hanste hanste miTaa diye us ne
Shahr kitne basaa ke kaaghaz par
Ham ne chaahaa ki ham bhee uD jaa.en
Ek chiDiyaa uDaa ke kaaghaz par
Log saahil talaash karte hain
Ek Dariya bahaa ke kaaghaz par
Naav sooraj kee dhoop kaa Dariya
Tham ga.e kaise aa ke kaaghaz par
Khvaab bhee khvaab ho ga.e 'aadil'
Shakl-o-soorat dikhaa ke kaaghaz par