jo ashk ban ke hamaarii palak pe baithaa thaa
— Aadil Raza Mansoori
Jo ashk ban ke hamaaree palak pe baiThaa thaa
Tumhen bhee yaad hai ab tak wo khvaab kis kaa thaa
Hamesha poochhtee rahtee hai raaston kee havaa
Yoonhee ruke ho yahaan yaa kisee ne rokaa thaa
Lagaa huaa hai abhee tak ye jaan ko khaTkaa
Ki us ne jaate hue kyuun palaT ke dekhaa thaa
Khabar kise hai kise poochhiye bataa.e kaun
Puraane qasr men kya sub.h-o-shaam jaltaa thaa
Vajood hai ye kaheen bah na jaa.e lahron men
Giraa giraa ke palak aabjoo ko rokaa thaa
Fazaa.en aisi to 'aadil' kabhi na mahkee thiin
Havaa ke haath pe ye kis kaa naam likkhaa thaa