hairaan hoon main dekh ke parvardigaar kyon
— Aafreen Faheem Aafi
Hairaan hoon main dekh ke parvardigaar kyon
Khoon ro raha hai aaj dil-e-daagh-daar kyon
Aao yahaan pe baiTho mujhe ye javaab do
Tabdeel ho gaya hai 'adaavat men pyaar kyon
Teree tarah karegee mujhe ye bhee munhadim
TaDpaa rahi hai yaad tiree baar-baar kyon
Waada kiyaa tha phir bhee na aa.e na aa.enge
Ai khvaab-khvaab chashm 'abas intizaar kyon
'aafee' jab un se koi ta'alluq nahin raha
Hota hai un ke naam pe dil be-qaraar kyon