ik ajnabii se pyaar kiyaa haae kya kiyaa

Aafreen Faheem Aafi

Ik ajnabee se pyaar kiyaa haa.e kya kiyaa Khud dil ko taar taar kiyaa haa.e kya kiyaa Dil ko sukoot-e-dard pe maa.il bhee kar liyaa Aankhon ko aabshaar kiyaa haa.e kya kiyaa Jab dil miraa har ek tamanna se bhar gaya Phir teraa intizaar kiyaa haa.e kya kiyaa Mayyat pe meree aayaa hai le kar raqeeb ko Us vaqt mujh pe vaar kiyaa haa.e kya kiyaa Ye 'ishq ek raaz thaa Dunya ke vaaste Aur tum ne ishtihaar kiyaa haa.e kya kiyaa