ik mulaaqaat kaa bas tum se bahaanaa chaahaa

Aafreen Faheem Aafi

Ik mulaaqaat kaa bas tum se bahaanaa chaahaa Ham ne kab apne liye sara zamaana chaahaa Tum ne jo zakhm diye ham ko bataur-e-tohfa Chaadar-e-ashk men har gham ko chhupaanaa chaahaa Main ne kab maangee hukoomat yaa koi takht yaa taaj Zindagaanee men faqat saath tumhaaraa chaahaa Tum ne daaman ko pakaD kar mujhe rokaa har dam Main ne jab jab bhee mohabbat se kinaaraa chaahaa