is liye aate hain sailaab mirii aankhon men

Aafreen Faheem Aafi

Is liye aate hain sailaab miree aankhon men Jaagte rahte hain Kuch khvaab miree aankhon men Ye mohabbat ke baDe khaas sabaq hote hain Tum ne dekhe hain jo aadaab miree aankhon men Main wo sahraa jahaan ummeed nahin baarish kee Doobte jaate hain sairaab miree aankhon men Us kee yaad aa.e to aankhon se ravaan ho jaa.en Aaj Kuch ashk hain betaab miree aankhon men Ik taraf ghoomtee Dunya kaa har ik manzar hai Ik taraf chehra-e-naayaab miree aankhon men Bhej do 'aafee' tabassum kee koi taaza khizaan Zakhm hone lage shaadaab miree aankhon men