chaahat gamze jataa rahii hai

Aagha Akbarabadi

Chaahat ghamze jataa rahi hai Vahshat sahraa dikhaa rahi hai Ghunchon kaa jigar hilaa rahi hai Bulbul kya gul khilaa rahi hai Yoosuf kaa pataa lagaa rahi hai Khushboo kan.aan men aa rahi hai Sheereen kya rang laa rahi hai 'aashiq kaa lahoo bahaa rahi hai Kis shokh ko deejiye dil-e-zaar Kis men saahab wafa rahi hai Aavaaza-e-faiz hai jahaan men Jis kee shohrat sadaa rahi hai Daa.in hai paree-vashon kee furqat Dil khaa ke kaleja khaa rahi hai Jaan nazr huee paree-rukhon kee MiTTee ko havaa uDaa rahi hai Chaahat kee kashish ne lo Dubo dee Yoosuf ko kun.en jhukaa rahi hai Dil men jo base hue hain gul-roo Surkhee aankhon men chhaa rahi hai Gahtaa hoon jabeen ko paa-e-but se Taqdeer likhaa miTaa rahi hai Hanste hue dekh kar gulon ko Shabnam aansoo bahaa rahi hai Andher kaa aaj saamnaa hai Surma wo paree lagaa rahi hai Kyuun jaan nahin nikaltee 'aaghaa' Kaise sadme uThaa rahi hai