hazaar jaan se saahab nisaar ham bhi hain
— Aagha Akbarabadi
Hazaar jaan se saahab nisaar ham bhee hain
Tumhaaree teer-e-nigah ke shikaar ham bhee hain
Azal se daakhil-e-fard-e-shumaar ham bhee hain
Tumhaare chaahne vaalon men yaar ham bhee hain
Hamesha ham se kudoorat rahi haseenon ko
Na dil se nikle kabhi wo ghubaar ham bhee hain
Musaafiron kee tavaazo se naam hota hai
Karam karo ki ghareeb-ud-dayaar ham bhee hain
Sharaab piite hain to jaagte hain saaree raat
Mudaam aabid-e-shab-zinda-daar ham bhee hain
Hazaar baar haseenon se ham ne nok kee lee
Gulon kee aankh men khaTke wo khaar ham bhee hain
Ajiib rutba inaayat kiyaa hai qambar ko
Ghulaam yaa shah-e-duldul-savaar ham bhee hain
Junoon ke haath se hai in dinon garebaan tang
Qabaa pukaartee hai taar taar ham bhee hain
BaDe hee chaaliye hain chaal chalte hain har dam
Wo chookte nahin par hoshiyaar ham bhee hain
Raqeeb ko bhee hai baar un kee bazm men 'aaghaa'
Shareek-e-sohbat-e-bos-o-kanaar ham bhee hain