jaa ladii yaar se hamaarii aankh
— Aagha Akbarabadi
Jaa laDee yaar se hamaaree aankh
Dekho kar baiThee faujdaaree aankh
Shokhiyaan bhuul jaa.e aahoo-e-cheen
Dekh paa.e agar tumhaaree aankh
Laakh inkaar mai-kashee se karo
Kaheen chhuptee bhee hai khumaaree aankh
Hovegaa ranj yaa khushee hogee
Kyuun phaDakne lagee hamaaree aankh
Jaanib-e-dar nigaah-e-hasrat hai
Kis kee kartee hai intizaaree aankh
Kar ke iqraar ho gaya munkir
Saamne aa ke kis ne maaree aankh
Murgh-e-dil par nigaah hai un kee
Aisi dekhee nahin shikaaree aankh
Hai sitam nok-jhonk chitvan men
LaD rahi hai chhuree kaTaaree aankh
Dil jigar donon ho ga.e majrooh
Ban ga.ee hai chhuree kaTaaree aankh
Koi dam men ubhaarte hain use
Us ne dekhaa ki ham ne maaree aankh
'aaghaa' saahab tumhaare dilbar kee
Kya raseelee hai kya hai pyaaree aankh