maddaah hoon main dil se mohammad ki aal kaa
— Aagha Akbarabadi
Maddaah hoon main dil se mohammad kee aal kaa
Mushtaaq hoon vasee-e-nabee ke jamaal kaa
Khvaahaan guhar kaa hoon na main taalib hoon laal kaa
Mushtaaq hoon tumhaare dahan ke ugaal kaa
Dekho to ek jaa pe Thahartee nahin nazar
Lapkaa paDaa hai aankh ko kya dekh-bhaal kaa
Kya un se faiz pahunche jo khud teera-bakht hain
Khilte na dekhaa ham ne kabhi phuul Dhaal kaa
Ham hain faqeer daulat-e-Dunya se kaam kya
Behtar hai jaam-e-jam se piyaala sifaal kaa
Daana dikhaa ke daam men 'anqaa ko laa.oongaa
Mazmoon likh raha hoon tire khat-o-khaal kaa
Sau jaan se fidaa hoon mohammad ke naam par
Jis ne bataayaa farq haraam o halaal kaa
Wo aankh bhee uThaa ke hamen dekhte nahin
Rutba pahunch gaya hai ye ranj-o-malaal kaa
Kis zindagee ke vaaste daulat kee aarzoo
Dekho nateeja ghaur se qaaroon ke maal kaa
Iqbaal gar nahin hai too inkaar keejiye
Kuch deejiye javaab hamaare savaal kaa
MuTThee ko khol kar yad-e-baizaa dikhaate hain
Naakhun pe un ke hota hai dhokaa hilaal kaa
Shaa'ir ghazab ke hote hain hargiz na chookte
Mauqa' nahin dahan men tire qeel-o-qaal kaa
Ai rashk-e-mehr vasl men ghussa hai kis liye
Ye vaqt meree jaan nahin hai jalaal kaa
Taareekee-e-lahad se Kuch 'aaghaa' na khauf kar
Daaman hai tere haath men zahraa ke laal kaa