nahin mumkin ki tire hukm se baahar main hoon
— Aagha Akbarabadi
Nahin mumkin ki tire hukm se baahar main hoon
Ai sanam taabe-e-farmaan-e-muqaddar main hoon
Dil to hairaan hai kyuun shashdar-o-muztar main hoon
Ishq kahtaa hai ki us parde ke andar main hoon
Pairav-e-silsila-e-zulf-e-muambar main hoon
Tauq se uzr na zanjeer se baahar main hoon
Aab-roo-e-sadaf o zeenat-e-gosh-e-mahboob
Durr-e-naayaab jo sunte ho wo gauhar main hoon
Ab subuk-dosh main hoon bojh gale kaa Tal jaa.e
Tegh-e-qaatil se ilaahee kahen be-sar main hoon
Taa.er-e-qibla-numaa kaa hai ishaara mujh se
Naama pahunchaane ko pardaar kabootar main hoon
Aa.ee phir fasl-e-bahaaree madad ai josh-e-junoon
Do qadam chal nahin saktaa hoon wo laaghar main hoon
Nutq kahtaa hai ki iisaa miraa dam bhartaa hai
Dahan-e-yaar ko da.avaa hai ki kausar main hoon
Jaadoo bar-haq hai to kaafir hai ayaan raa-che-bayaan
Teraa maaraa huaa ai chashm-e-fusoon-gar main hoon
Mohtasib ko bhee hidaayat karoon mai-noshee kee
Vaa.izaa teree jagah gar sar-e-mimbar main hoon
Na unhen meree shikaayat na mujhe un kaa gila
Na kudoorat unhen mujh se na mukaddar main hoon
Hairat-e-husn se ik sakta kaa aalam dekhaa
Aa.eena munh ko tire taktaa hai shashdar main hoon
Daur-e-farhaad gaya ye hai zamaana meraa
Be-sutoon ab to uThaa.e hue sar par main hoon
Aaj-kal husn-e-javaanee pe jo hai un ko ghuroor
Naaz kahtaa hai ki andaaz se baahar main hoon
Barq o seemaab kaa 'aaghaa' na rahe naam-o-nishaan
Dil kee betaabee se ik baar jo muztar main hoon