namaaz kaisii kahaan kaa roza Abhi main shagl e sharaab men hoon
— Aagha Akbarabadi
Namaaz kaisee kahaan kaa roza abhee main shaghl-e-sharaab men hoon
Khuda kee yaad aa.e kis tarah se buton ke qahr-o-itaab men hoon
Sharaab kaa shaghl ho raha hai baghal men paataa hoon main kisee ko
Main jaagtaa hoon ki so raha hoon khayaal men hoon ki khvaab men hoon
Na chheD is vaqt mujh ko zaahid nahin ye mauqa.a hai guftugoo kaa
Savaar jaataa hai wo sharaabee main haazir us kee rikaab men hoon
Kabhi sharaabee kabhi namaazee kabhi hoon main rind-gaah zaahid
Khuda kaa Dar hai buton kaa khaTkaa ajab tarah ke azaab men hoon
Qayaamat aane kaa khauf kaisaa taraddud-o-fikr kyuun hai 'aaghaa'
Hisaab kya koi mujh se legaa bataa to main kis hisaab men hoon