sarv qad laala rukh o guncha dahan yaad aayaa
— Aagha Akbarabadi
Sarv-qad laala-rukh o ghuncha-dahan yaad aayaa
Phir bahaar aa.ee mujhe lutf-e-chaman yaad aayaa
Go ki thee saltanat-e-misr magar aakhir-e-kaar
Is hukoomat pe bhee yoosuf ko vatan yaad aayaa
Rag-e-gul par hai kabhi aur kabhi ghunche pe nigaah
Baagh men kis kee kamar kis kaa dahan yaad aayaa
Safar-e-mulk-e-adam kee huee aisi ujlat
Zaad-e-rah kuch na ba-juz gor-o-kafan yaad aayaa
Sohbat-e-laala-rukhaan ahd-e-shabaab-o-shab-e-vasl
Mai-e-kohna jo milee daagh-e-kuhan yaad aayaa
Jab se aayaa hai nazar ye tiraa husn-e-be-daagh
Kabk ko maah na bulbul ko chaman yaad aayaa
Tere saudaai ko phir josh huaa vahshat kaa
Qaidee-e-zulf ko phir tauq-o-rasan yaad aayaa
Paan khaa kar jo ugaal aap ne thookaa saahab
Jauharee mahv hue la.al-e-yaman yaad aayaa
Ba.ad muddat ke talab aap ne bande ko kiyaa
Shukr-sad-shukr main ai mushfiq-e-man yaad aayaa
Fasl-e-gul aate hee 'aaghaa' ne bhee vahshat kee lee
Kaisee ye chaal chalaa kis kaa chalan yaad aayaa