aagahii men ik khalaa maujuud hai
— Abdul Hamid Adam
Aagahee men ik khalaa maujood hai
Is kaa matlab hai khuda maujood hai
Hai yaqeenan Kuch magar vaazeh nahin
Aap kee aankhon men kya maujood hai
Baankpan men aur koi shai nahin
Saadgee kee intihaa maujood hai
Hai mukammal baadshaahee kee daleel
Ghar men gar ik boriyaa maujood hai
Shauqiya koi nahin hota ghalat
Is men Kuch teree razaa maujood hai
Is liye tanhaa hoon main garm-e-safar
Qaafile men rahnumaa maujood hai
Har mohabbat kee binaa hai chaashnee
Har lagan men mudda.aa maujood hai
Har jagah har shahr har iqleem men
Dhuum hai us kee jo naa-maujood hai
Jis se chhupnaa chaahtaa hoon main 'adam'
Wo sitamgar jaa-ba-jaa maujood hai