aap ki aankh agar aaj gulaabii hogii
— Abdul Hamid Adam
Aap kee aankh agar aaj gulaabee hogee
Meree sarkaar baDee sakht kharaabee hogee
Mohtasib ne hee paDhaa hogaa maqaala pahle
Miree taqreer ba-har-haal javaabee hogee
Aankh uThaane se bhee pahle hee wo honge ghaa.eb
Kya khabar thee ki unhen itnee shitaabee hogee
Har mohabbat ko samajhtaa hai wo novel kaa varaq
Us paree-zaad kee ta.aleem kitaabee hogee
Shaikh-jee ham to jahannam ke parinde Thahre
Aap ke paas to firdaus kee chaabee hogee
Kar diyaa muusaa ko jis chiiz ne behosh 'adam'
Be-naqaabee nahin wo neem-hijaabee hogee